door jaate hue kadmon ki dheemi hoti aawaaz
dil per nashtar si chubhti jaati hai
tumhare bus ek baar mud dekhne ki aas
jaise pal pal marti jaati hai
kya ho gaya ,kyon ho gaya hai yeh sab
kuchh bhi samajh nahin aata
main to wohi hoon,phir tum kyon badal gaye?
woh apnapan,wo baatein,wo kehkahe
sab kahan kho gaye??
waqt bada marham hai,sab bhula deta hai
mujhe bhi bhula dega
per abhi
is pal seene ke is ghaav ka main kya karoon?
tumhari har yaad tumhari har baat
jo nashtar si is ghaav mein chubhti jaati hai
uska kya karoon??
kya karoon ki main bhi tum jaisi ban sakoon...
berehem
matlabi
kathor...
nafrat hai mujhe tumse....