|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Kahan??
Saans lene ka hai jo naam zindagi, to beshak jee rahi hoon main. Rozmarra ki hai jo daud zindagi, to beshak jee rahi hoon main. Yeh khokhli si hansi,yeh sarsari si baatein, yeh duniya ke reeti-riwazon ki baatein... kuchh bhi to na badla,sab jyon ka tyon hai. Waqt bus guzarta hi jata hai... tumhare saath aur tumhare bina bhi.
Per kahan hai zindagi? Kahan hai woh chehre ki raunak, woh hansi ki khanak? Kahan hai woh her naye din ka gudgudata sa intezaar? Kahan hai woh roothne manane ka pyara sa adhikaar?
Sab kuchh wahi hai ,per sab hai kahan? Woh har pal chehakti si fiza hai kahan? Tere bin jo jeeti to shayad shikwa bhi karti.... Per tere bin zindagi,zindagi hai kahan?
Anu
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|